Jab achanak mere pahlu se mera yaar utha,
Dard seene mein utha aur kayi bar utha,
Zindagi bojh na ban jaaye tan-aasaani se,
Apne raste mein kabhi khud koi deewar utha,
Sarsar-e-waqt se ghaafil tha tu ai kibr-nazaad,
Gir gayi khaaak zameen par teri dastaar utha,
Wahm-e-nazara mein hai aafiyat-e-deeda-o-dil,
Bhool kar bhi na kabhi parda-e-asraar utha,
Jis se ho jaayen mere chahne waale taqseem,
Aisi deewar na koi mere me'amaar utha,
Khauf-e-taadeeb se mazloomon pe roya na gaya,
Shaam-e-maqtal mein koi bhi na azadaar utha,
Door tak phaila hua dasht-e-bala hai baahar,
Apni mahfil se na mujh ko mere dildaar utha,
Naaz-bardaar-e-hunar ho gaye rukhsat kab ke,
Ab bisat-e-sukhan-o-naghma-o-ash'aar utha,
Saamne tere zar-afshaa'n hai nai subah-e-ummid,
Apni palkon ko zara deeda-e-khoon-baar utha,
Kal 'Farasat' tha yahan majma-e-yaraa'n tere saath,
Ab isi shahar mein tanhaai ke aazaar utha.!!
"Farasat Rizwi"
No comments:
Post a Comment