Falak pe chaand hai aur paas ek sitara hai,
Ye teri meri mohabbat ka istiaara hai,
Shab-o-sahar ke tasalsul mein ye tulu-o-ghuroob,
Samajhne waalon ko ek dukh-bhara ishaara hai,
Ye tere sozan-e-mizhgaa'n ke bas ki baat nahin,
Yahana to pairahan-e-jaan hi paara-paara hai,
Faqat karishma-e-tarz-e-nazar hai sood-o-ziyaa'n,
Kisi ka nafa kisi ke liye khasara hai,
Wo jis ne mujh ko kahin ka nahin rakha ek umr,
Wahi khyaal wahi aarzu dobara hai,
Nayi jagah mujhe manoos si lagi to khula,
Ye koi khwab mein dekha hua nazara hai,
Yahaan se jo bhi gaya laut kar nahin aaya,
Bataye kaun kahaan doosra kinara hai.!!
"Farasat Rizwi"
No comments:
Post a Comment