Wednesday, May 30, 2018

Un Aankhon Ka Mujh Se Koi Waada To Nahin Hai

Un aankhon ka mujh se koi waada to nahin hai,
Thodi si mohabbat hai zyaada to nahin hai..

Usloob-e-nazar se mera mafhoom na samjhe,
Wo yaar mera itna bhi saada to nahin hai..

Aaghaaz jo ke main ne nayi ek mohabbat, 
Ye pichhli mohabbat ka iaada to nahin hai..

Seene mein bujha jaata hai dil mera sar-e-shaam,
Is ghum ka ilaaj aatish-e-baada to nahin hai..

Phir se teri aankhon mein siwa rang-e-mohabbat,
Phir tark-e-mohabbat ka iraada to nahin hai..

Parwaaz ke sab khwab yahin rakkhe hain main ne,
Go kunj-e-qafas itna kushaada to nahin hai..

Khaano'n mein bhatakta nazar aaya mujhe insaan,
Shatranj zamana ka pyaada to nahin hai.. 

Jaate hain kahin aur pahunchte hain kahin aur,
Ek aur bhi jaada pas-e-jaada to nahin hai.!!

"Farasat Rizwi"
__________

iaada = repetition, revising,
Kunj-e-qafas = grove/ nook of a cage,
Kushaada = open, uncovered, expanded, spacious,
Jaada = pathway, road, route, high-way,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...