Poochhe jo nishaan koi anjaan nikalte hain,
Hum rah-guzaron se be-dhyaan nikalte hain..
Dil taza marasim ke aaghaaz se darta hai,
Milne se bichhadne ke imkaan nikalte hain..
Kis samt ko jaate hain ai raah-e-chaman aakhir,
Lashkar gul-o-nik'hat ke har aan nikalte hain..
Ghar rahiye ke baahar hai ek raqs balaon ka,
Is mausam-e-wahshat mein nadaan nikalte hain..
Tum ishq ke kooche mein jaan nazr to kar dekho,
Marne se bhi jeene ke unwaan nikalte hain..
Is saaya-e-mizhgaa'n mein kuchh waqt guzara hai,
Hum par bhi un aankhon ke ahsaan nikalte hain..
Hasti ki ye zanjeerein ye jism ki deewarein,
Hum saath liye apna zindaan nikalte hain..
Hum dekhte rahte hain is pyaas ke sahra se,
Kya qaafila-e-abr-o-baraan nikalte hain..
Gul shaakhon pe aate hain kis aalame-e-afsoo'n se,
Kisi ghaib ki waadi se insaan nikalte hain..
Ye aalam-e-hasti hai ya khwab ki basti hai,
Jis samt chale jaayen hairaan nikalte hain..
Buniyaad-e-ta'alluq hai ek wahm-e-shanasaai,
Socho to sabhi chehre anjaan nikalte hain..
Kis waqt nahin rahti aankhon mein wo mauj-e-khoo'n,
Kab dil se tere ghum ke paikaan nikalte hain..
Jis harf ke likhne mein ho dil ka lahu shaamil,
Us harf se farda ke ruj'haan nikalte hain..
Hai harf-e-sukhan apna bas apni hi khalwat mein,
Bazaar mein yaaron ke deewaan nikalte hain..
Duniya ki mohabbat ka sauda na kabhi karna,
Is saude ke aakhir mein nuqsaan nikalte hain..
Lo subah-e-adam aai ab hijr ki saa'at hai,
Shab-bhar ki saraye se mehmaan nikalte hain.!!
"Farasat Rizwi"
No comments:
Post a Comment