Ye ashk aankh mein kis justuju ke saath aaye,
Ke tere zikr teri guftugu ke saath aaye,
Main ek nakhl tha yak-rangi khizaa'n ka aseer,
Ye saare rang teri aarzu ke saath aaye,
Jo kho gaye the kahin umr ke dhundlakon mein,
Wo aks phir kisi aaina-ru ke saath aaye,
Farogh-e-nasha-e-may se bhi ji bahal na saka,
Bahut se ghum the jo mauj-e-subu ke saath aaye,
Gila na kar jo sar-e-shahr ju-e-khoon hai rawaa'n,
Ke inqilaab jab aaye lahu ke saath aaye,
Gaye to sirf mata-e-sukoot le ke gaye,
Jo is nagar mein badi haaw-hu ke saath aaye,
'Farasat' ahl-e-jahaan hum-safar hain khushiyon ke,
Maqaam-e-ranj talak kab kasu ke saath aaye.!!
"Farasat Rizwi"
No comments:
Post a Comment