Jinhein mahfilon se gharaz na thi wo jo qaid apne gharon mein the,
Wahi aitibaar-e-zamana the wahi log deeda-waron mein the..
Hue haath ab to lahu lahu sar-e-chashm andhera hai chaar-su,
Kabhi hum bhi aaina-saaz the kabhi hum bhi shisha-garon mein the..
Chali shahar mein wo hawa-e-zar ke ghubaar ban ke gaye bikhar,
Wo jo khwab aankhon mein the makeen wo junoon jo apne saron mein the,
Mere mohsino'n mein hain shahar ke ye taweel-o-aashna raaste,
Kahin aur jaaye amaa'n na thi ki ghaneem-e-jaan to gharon mein the..
Wahi jin ki tegh se ban gaya mera shahar maqtal-e-khoon-fishaa'n,
Sar-e-aam deeda-e-nam liye wahi log nauha-garon mein the,
Ek udaas basti mein waqt-e-shab main gaya to aise makaan the sab,
Na to khidkiyon mein the mah-ru na charagh un ke daron mein the..
Sar-e-shaam door fazaon mein ye jo aaine se chamak uthe,
Yahi dhalti dhoop ke rang the ke jo taairo'n ke paron mein the.!!
"Farasat Rizwi"
No comments:
Post a Comment