Thursday, May 31, 2018

Phool Ne Tahni Se Udne Ki Koshish Ki

Phool ne tahni se udne ki koshish ki,
Ek taair ka dil rakhne ki koshish ki..

Kal phir chaand ka khanjar ghonp ke seene mein,
Raat ne meri jaan lene ki koshish ki..

Koi na koi rahbar rasta kaat gaya,
Jab bhi apni raah chalne ki koshish ki..

Kitni lambi khamoshi se guzra hun,
Un se kitna kuchh kahne ki koshish ki..

Ek hi khwab ne saari raat jagaya hai, 
Main ne har karwat sone ki koshish ki..

Ek sitara jaldi jaldi doob gaya,
Main ne jab taare ginne ki koshish ki..

Naam mera tha aur pata apne ghar ka,
Us ne mujh ko khat likhne ki koshish ki..

Ek dhuen ka marghola sa nikla hai,
Mitti mein jab dil bone ki koshish ki.!!

"Gulzaar"
__________

Marghola = cloud-of smoke,

پھول نے ٹہنی سے اڑنے کی کوشش کی
اک طائر کا دل رکھنے کی کوشش کی..

کل پھر چاند کا خنجر گھونپ کے سینے میں
رات نے میری جاں لینے کی کوشش کی..

کوئی نہ کوئی رہبر رستہ کاٹ گیا
جب بھی اپنی رہ چلنے کی کوشش کی..

کتنی لمبی خاموشی سے گزرا ہوں
ان سے کتنا کچھ کہنے کی کوشش کی..

ایک ہی خواب نے ساری رات جگایا ہے
میں نے ہر کروٹ سونے کی کوشش کی..

ایک ستارہ جلدی جلدی ڈوب گیا
میں نے جب تارے گننے کی کوشش کی..

نام مرا تھا اور پتہ اپنے گھر کا
اس نے مجھ کو خط لکھنے کی کوشش کی..

ایک دھوئیں کا مرغولہ سا نکلا ہے
مٹی میں جب دل بونے کی کوشش کی.

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...