Wednesday, May 30, 2018

Hum To Kitnon Ko Mah-jabeen Kahte

Hum to kitnon ko mah-jabeen kahte,
Aap hain is liye nahin kahte..

Chaand hota na aasman pe agar,
Hum kise aap sa haseen kahte..

Aap ke paanw phir kahaan padte,
Hum zameen ko agar zameen kahte..

Aap ne auron se kaha sab kuchh,
Hum se bhi kuchh kabhi kahin kahte..

Aap ke baad aap hi kahiye,
Waqt ko kaise hum-nasheen kahte..

Wo bhi waahid hai main bhi waahid hun, 
Kis sabab se hum aafreen kahte.!!

"Gulzaar"

ہم تو کتنوں کو مہ جبیں کہتے
آپ ہیں اس لیے نہیں کہتے..

چاند ہوتا نہ آسماں پہ اگر
ہم کسے آپ سا حسیں کہتے..

آپ کے پاؤں پھر کہاں پڑتے
ہم زمیں کو اگر زمیں کہتے..

آپ نے اوروں سے کہا سب کچھ
ہم سے بھی کچھ کبھی کہیں کہتے..

آپ کے بعد آپ ہی کہیے
وقت کو کیسے ہم نشیں کہتے..

وہ بھی واحد ہے میں بھی واحد ہوں
کس سبب سے ہم آفریں کہتے..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...