Thursday, May 31, 2018

Chaand Kyun Abr Ki Us Maili Si Gathri Mein Chhupa Tha

* Nazm *
__________

Chaand kyun abr ki us maili si gathri mein chhupa tha...

Us ke chhupte hi andheron ke nikal aaye the naakhun,

Aur jangal se guzarte hue masoom musafir,

Apne chehron ko kharonchon se bachane ke liye cheekh pade the,

Chaand kyun abr ki us maili si gathri mein chhupa tha...

Us ke chhupte hi utar aaye the shaakhon se latakte hue
Aaseb the jitne,

Aur jangal se guzarte hue rahgeeron ne,  Gardan mein utarte hue
Daanton se suna tha,

Paar jaana hai to peene ko lahu dena padega,

Chaand kyun abr ki us maili si gathri mein chhupa tha...

Khoon se luthdi hui raat ke rahgeeron ne do zaanu pe gir kar,

Raushni, raushni! chillaya tha,
Dekha tha falak ki jaanib,

Chaand ne gathri se ek hath nikala tha, Dikhaya tha chamakta hua khanjar.!!

"Gulzaar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...