* Nazm *
__________
Subah subah ek khwab ki dastak par darwaza khula dekha..
Sarhad ke us paar se kuchh mehmaan aaye hain,
Aankhon se manoos the saare,
Chehre saare sune sunaye,
Paanw dhue, hath dhulaye,
Aangan mein aasan lagwaye,
Aur tannoor pe makki ke kuchh mote mote rot pakaye,
Potli mein mehmaan mere,
Pichhle saalo'n ki faslo'n ka gud laaye the,
Aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha,
Haath laga kar dekha to tannoor abhi tak bujha nahin tha,
Aur honthon par meethe gud ka zaaiqa ab tak chipak raha tha,
Khwab tha shayad!
Khwab hi hoga!!
Sarhad par kal raat, suna hai chali, thi goli,
Sarhad par kal raat, suna hai,
Kuchh khwabon ka khoon hua tha.!!
"Gulzaar"
No comments:
Post a Comment