* Nazm *
__________
Aadmi bulbula hai paani ka...
Aur paani ki bahti satah par,
Toot ta bhi hai doobta bhi hai..
Phir ubharta hai, phir se bahta hai,
Na samandar nigal saka is ko,
Na tawarikh tod paai hai..
Waqt ki hatheli par bahta,
Aadmi bulbula hai paani ka.!!
"Gulzaar"
No comments:
Post a Comment