Thursday, May 31, 2018

Kahin To Gard Ude Ya Kahin Ghubaar Dikhe

Kahin to gard ude ya kahin ghubaar dikhe,
Kahin se aata hua koi shahwaar dikhe..

Khafa thi shaakh se shayad ke jab hawa guzri,
Zameen pe girte hue phool be-shumaar dikhe..

Rawaa'n hain phir bhi ruke hain wahin pe sadiyon se,
Bade udaas lage jab bhi aabshaar dikhe..

Kabhi to chaunk ke dekhe koi humari taraf,
Kisi ki aankh mein hum ko bhi intizaar dikhe,

Koi tilismi sifat thi jo is hujoom mein wo,
Hue jo aankh se ojhal to baar baar dikhe.!!

"Gulzaar"



کہیں تو گرد اڑے یا کہیں غبار دکھے
کہیں سے آتا ہوا کوئی شہوار دکھے..

خفا تھی شاخ سے شاید کہ جب ہوا گزری
زمیں پہ گرتے ہوئے پھول بے شمار دکھے..

رواں ہیں پھر بھی رکے ہیں وہیں پہ صدیوں سے
بڑے اداس لگے جب بھی آبشار دکھے..

کبھی تو چونک کے دیکھے کوئی ہماری طرف
کسی کی آنکھ میں ہم کو بھی انتظار دکھے..

کوئی طلسمی صفت تھی جو اس ہجوم میں وہ
ہوئے جو آنکھ سے اوجھل تو بار بار دکھے..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...