Thursday, May 31, 2018

Main Khandaron Ki Zameen Pe Kab Se Bhatak Raha Hun

* Nazm *
_________

Main khandaron ki zameen pe kab se bhatak raha hun...

Qadeem raaton ki tooti qabron ke maile katbe,

Dinon ki tooti hui saleebein giri padi hain, 

Shafaq ki thandi chitaon se raakh ud rahi hai,

Jagah jagah gurz waqt ke choor ho gaye hain,

Jagah jagah dher ho gayi hain azeem sadiyaan,

Main khandaron ki zameen pe kab se bhatak raha hun...

Yahin muqaddas, hatheliyon se giri hai mehndi,

Diyon ki tooi hui lawein zang kha gayi hain,

Yahin pe maathon ki raushni jal ke bujh gayi hai,

Sapaat chehron ke khaali panne khule hue hain,

Huroof aankhon ke mit chuke hain,

Main khandaron ki zameen pe kab se bhatak raha hun...

Yahin kahin zindagi ke maani gire hain,  Aur gir ke kho gaye hain.!!

"Gulzaar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...