Thursday, May 31, 2018

Zindagi Yoon Hui Basar Tanha

Zindagi yoon hui basar tanha,
Qaafila saath aur safar tanha..

Apne saaye se chaunk jaate hain,
Mmr guzri hai is qadar tanha..

Raat bhar baatein karte hain taare,
Raat kaate koi kidhar tanha..

Doobne waale paar ja utre,
Naqsh-e-pa apne chhorh kar tanha..

Din guzarta nahin hai logon mein,
Raat hoti nahin basar tanha..

Hum ne darwaaze tak to dekha tha,
Phir na jaane gae kidhar tanha.!!

"Gulzaar"

زندگی یوں ہوئی بسر تنہا
قافلہ ساتھ اور سفر تنہا..

اپنے سائے سے چونک جاتے ہیں
عمر گزری ہے اس قدر تنہا..

رات بھر باتیں کرتے ہیں تارے
رات کاٹے کوئی کدھر تنہا..

ڈوبنے والے پار جا اترے
نقش پا اپنے چھوڑ کر تنہا..

دن گزرتا نہیں ہے لوگوں میں
رات ہوتی نہیں بسر تنہا..

ہم نے دروازے تک تو دیکھا تھا
پھر نہ جانے گئے کدھر تنہا..

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...