Thursday, March 1, 2018

Zindagi Ki Har Kahaani Be-asar Ho Jayegi

Zindagi ki har kahaani be-asar ho jayegi,
Hum na honge to ye duniya dar-ba-dar ho jayegi...

Paaon patthar kar ke chhodegi agar ruk jaaiye,
Chalte rahiye to zameen bhi hum-safar ho jayegi...

Jugnuon ko saath le kar raat raushan kijiye,
Raasta sooraj ka dekha to sahar ho jayegi...

Zindagi bhi kaash mere saath rahti umr-bhar,
Khair ab jaise bhi honi hai basar ho jayegi,

Tum ne khud hi sar chadhaai thi so ab chakkho maza,
Main na kahta tha ki duniya dard-e-sar ho jayegi...

Talkhiyaan bhi laazmi hain zindagi ke waaste,
Itna meetha ban ke mat rahiye shakar ho jayegi.!!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...