Thursday, March 1, 2018

Zindagi Ko Zakhm Ki Lazzat Se Mat Mahroom Kar

Zindagi ko zakhm ki lazzat se mat mahroom kar,
Raaste ke pattharon se khairiyat maloom kar,

Toot kar bikhri hui talwaar ke tukde samet,
Aur apne haar jaane ka sabab maloom kar,

Jaagti aankhon ke khwaabon ko ghazal ka naam de,
Raat bhar ki karwaton ka zaaiqa manzoom kar,

Shaam tak laut aaunga haathon ka khaali-pan liye,
Aaj phir nikla hun main ghar se hatheli choom kar,

Mat sikha lahje ko apni barchhiyon ke paintare,
Zinda rahna hai to lahje ko zara masoom kar..!!

"Rahat Indori"
___
Manzoom = versified, joined, threaded, arranged in order,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...