Sisakti rut ko mahakta gulaab kar dunga,
Main is bahaar mein sab ka hisaab kar dunga,
Main intezaar mein hun tu koi sawaal to kar,
Yaqeen rakh main tujhe la-jawaab kar dunga,
Hazaar pardon mein khud ko chhupa ke baith magar,
Tujhe kabhi na kabhi be-naqaab kar dunga,
Mujhe bharosa hai apne lahu ke qatron par,
Main neze neze ko shaakh-e-gulaab kar dunga,
Mujhe yaqeen ke mahfil ki raushni hun main,
Use ye khauf ki mahfil kharaab kar dunga,
Mujhe gilaas ke andar hi qaid rakh warna,
Main saare shahar ka paani sharaab kar dunga,
Mahajanon se kaho thoda intezaar karein,
Sharaab-khane se aa kar hisaab kar dunga..!!
"Rahat Indori"
No comments:
Post a Comment