Sirf khanjar hi nahin aankhon mein paani chahiye,
Ai khuda dushman bhi mujh ko khandaani chahiye,
Shahar ki saari alif-laila'en boodhi ho chukin,
Shahzaade ko koi taaza kahaani chahiye,
Main ne ai sooraj tujhe puja nahin samjha to hai,
Mere hisse mein bhi thodi dhoop aani chahiye,
Meri qeemat kaun de sakta hai is bazaar mein,
Tum zulekha ho tumhein qeemat lagaani chahiye,
Zindagi hai ek safar aur zindagi ki raah mein,
Zindagi bhi aaye to thokar lagaani chahiye,
Main ne apni khushk aankhon se lahu chhalka diya,
Ek samandar kah raha tha mujh ko paani chahiye.!!
"Rahat Indori"
No comments:
Post a Comment