Thursday, March 1, 2018

Ye Khaak-zaade Jo Rahte Hain Be-zabaan Pade

Ye khaak-zaade jo rahte hain be-zabaan pade,
Ishaara kar dein to sooraj zameen pe aan pade,

Sukoot-e-zeest ko aamada-e-baghawat kar,
Lahu uchhaal ke kuchh zindagi mein jaan pade,

Humare shahar ki beenaiyon pe rote hain,
Tamaam shahar ke manzar lahu-luhaan pade,

Uthe hain haath mere hurmat-e-zameen ke liye,
Maza jab aaye ke ab paanw aasman pade,

Kisi makeen ki aamad ke intezaar mein hain,
Mere mohalle mein khaali kayi makaan pade..!!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...