Thursday, March 1, 2018

Uthi Nigaah To Apne Hi Ru-ba-ru Hum The

Uthi nigaah to apne hi ru-ba-ru hum the,
Zameen aaina-khana thi chaar-su hum the,

Dinon ke baad achanak tumhaara dhyaan aaya,
Khuda ka shukr ki us waqt ba-wazu hum the,

Wo aaina to nahin tha par aaine sa tha,
Wo hum nahin the magar yaar hu-ba-hu hum the,

Zameen pe ladte hue aasman ke narghe mein,
Kabhi kabhi koi dushman kabhu kabhu hum the,

Humara zikr bhi ab jurm ho gaya hai wahaan,
Dinon ki baat hai mahfil ki aabru hum the,

Khyaal tha ki ye pathraaw rok dein chal kar,
Jo hosh aaya to dekha lahu lahu hum the..!!

"Rahat Indori"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...