Use ab ke wafaaon se guzar jaane ki jaldi thi,
Magar is baar mujh ko apne ghar jaane ki jaldi thi,
Irada tha ki main kuchh der tufaan ka maza leta,
Magar bechaare dariya ko utar jaane ki jaldi thi,
Main apni mutthiyon mein qaid kar leta zameenon ko,
Magar mere qabeele ko bikhar jaane ki jaldi thi,
Main aakhir kaun sa mausam tumhaare naam kar deta,
Yahaan har ek mausam ko guzar jaane ki jaldi thi,
Wo shaakhon se juda hote hue patton pe hanste the,
Bade zinda-nazar the jin ko mar jaane ki jaldi thi,
Main saabit kis tarah karta ki har aaina jhootha hai,
Kayi kam-zarf chehron ko utar jaane ki jaldi thi..!!
"Rahat Indori"
No comments:
Post a Comment