Sirf sach aur jhooth ki mizaan mein rakkhe rahe,
Hum bahadur the magar maidaan mein rakkhe rahe,
Jugnuon ne phir andheron se ladaai jeet li,
Chaand sooraj ghar ke raushan-daan mein rakkhe rahe,
Dheere dheere saari kirnein khud-kushi karne lagin,
Hum saheefa the magar juzdaan mein rakkhe rahe,
Band kamre khol kar sachchaiyan rahne lagin,
Khwaab kachchi dhoop the dalaan mein rakkhe rahe,
Sirf itna faasla hai zindagi se maut ka,
Shaakh se tode gaye gul-daan mein rakkhe rahe,
Zindagi bhar apni goongi dhadkanon ke saath saath,
Hum bhi ghar ke qeemti samaan mein rakkhe rahe.!!
"Rahat Indori"
No comments:
Post a Comment