Friday, May 11, 2018

Wo Siwa Yaad Aaye Bhulaane Ke Baad

Wo siwa yaad aaye bhulaane ke baad,
Zindagi badh gayi zahar khaane ke baad,

Dil sulagta raha aashiyane ke baad,
Aag thandi hui ek zamane ke baad,

Raushni ke liye dil jalaana pada,
Aisi zulmat badhi tere jaane ke baad,

Jab na kuchh ban pada arz-e-ghum ka jawaab,
Wo khafa ho gaye muskurane ke baad,

Dushmanon se pashemaan hona pada,
Doston ka khuloos aazmaane ke baad,

Ranj had se guzar ke khushi ban gaya,
Ho gaye paar hum doib jaane ke baad,

Bakhsh de ya rab ahl-e-hawas ko bahisht,
Mujh ko kya chahiye tujh ko paane ke baad,

Kaise kaise gile yaad aaye 'Khumar',
Un ke aane se qabl un ke jaane ke baad.!!

"Khumar Barabankawi"
___
Siwa = except, but, over and above,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...