Friday, May 11, 2018

Pi Pi Ke Jagmagaye Zamane Guzar Gaye

Pi pi ke jagmagaye zamane guzar gaye,
Raaton ko din banaye zamane guzar gaye,

Jaan-e-bahaar phool nahin aadmi hun main,
Aa ja ke muskuraye zamane guzar gaye,

Kya laaiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto,
Patthar bhi ghar mein aaye zamane guzar gaye,

O jaane waale aa ke tere intizaar mein,
Raste ko ghar banaye zamane guzar gaye,

Ghum hai na ab khushi hai na ummeed hai na yaas,
Sab se najaat paaye zamane guzar gaye,

Marne se wo darein jo ba-qaid-e-hayat hain,
Mujh ko to maut aaye zamane guzar gaye,

Kya kya tawaqquaat thin aaho'n se ai 'Khumar',
Ye teer bhi chalaaye zamane guzar gaye.!!

"Khumar Barabankawi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...