Hijr ki shab hai aur ujaala hai,
Kya tasawwur bhi lutne waala hai,
Ghum to hai ain-e-zindagi lekin,
Ghum-gusaaron ne maar daala hai,
Ishq majboor o na-muraad sahi,
Phir bhi zaalim ka bol-baala hai,
Dekh kar barq ki pareshaani,
Aashiyaan khud hi phoonk daala hai,
Kitne ashko'n ko kitni aaho'n ko,
Ek tabassum mein us ne dhhaala hai,
Teri baato'n ko main ne ai waa'iz,
Ahtiraman hansi mein taala hai,
Maut aaye to din phirein shayad,
Zindagi ne to maar daala hai,
Sheyr, naghma, shaguftagi, masti,
Ghum ka jo roop hai niraala hai,
Laghzishein muskuraai hain kya kya,
Hosh ne jab mujhe sambhaala hai,
Dam andhere mein ghut raha hai 'Khumar',
Aur chaaron taraf ujaala hai..!!
"Khumar Barabankawi"
No comments:
Post a Comment