Friday, May 11, 2018

Wo Humein Jis Qadar Aazmaate Rahe

Wo humein jis qadar aazmaate rahe,
Apni hi mushkilon ko badhaate rahe,

Wo akele mein bhi jo lajaate rahe,
Ho na ho un ko hum yaad aate rahe,

Yaad karne pe bhi dost aaye na yaad,
Doston ke karam yaad aate rahe,

Aankhein sookhi hui naddiyan ban gayin,
Aur tufaan ba-dastoor aate rahe,

Pyaar se un ka inkaar bar-haq magar,
Lab ye kyun der tak thartharaate rahe,

Thin kamanein to haathon mein aghyaar ke,
Teer apnon ki jaanib se aate rahe,

Kar liya sab ne hum se kinaara magar,
Ek naaseh ghareeb aate jaate rahe,

May-kade se nikal kar janaab-e-'Khumar',
Ksaba o dair mein khaak udaate rahe.!!

"Khumar Barabankawi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...