Mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya,
Tum kyun udaas ho gaye kya yaad aa gaya,
Kahne ko zindagi thi bahut mukhtasar magar,
Kuchh yun basar hui ke khuda yaad aa gaya,
Waa'iz salaam le ke chala may-kade ko main,
Firdaus-e-gum-shuda ka pata yaad aa gaya,
Barse baghair hi jo ghata ghir ke khul gayi,
Ek bewafa ka ahd-e-wafa yaad aa gaya,
Maangenge ab dua ke use bhool jaayen hum,
Lekin jo wo ba-waqt-e-dua yaad aa gaya,
Hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'Khumar',
Kya baat ho gayi jo khuda yaad aa gaya..!!
"Khumar Barabankawi"
No comments:
Post a Comment