Thursday, May 10, 2018

Haal-e-ghum Un Ko Sunaate Jaaiye

Haal-e-ghum un ko sunaate jaaiye,
Shart ye hai muskuraate jaaiye,

Aap ko jaate na dekha jaayega,
Shama ko pahle bujhaate jaaiye,

Shukriya lutf-e-musalsal ka magar,
Gaahe gaahe dil dukhaate jaaiye,

Dushmanon se pyaar hota jaayega,
Doston ko aazmaate jaaiye,

Raushni mahdood ho jin ki 'Khumar',
Un charaghon ko bujhaate jaaiye.!!

"Khumar Barabankawi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...