Wahi phir mujhe yaad aane lage hain,
Jinhein bhoolne mein zamane lage hain,
Wo hain paas aur yaad aane lage hain,
Mohabbat ke hosh ab thikane lage hain,
Suna hai humein wo bhulane lage hain,
To kya hum unhein yaad aane lage hain,
Hataaye the jo raah se doston ki,
Wo patthar mere ghar mein aane lage hain,
Ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko,
Ye kahne mein mujh ko zamane lage hain,
Hawaa'en chalin aur na maujein hi utthin,
Ab aise bhi tufaan aane lage hain,
Qayamat yaqeenan qareeb aa gayi hai,
'Khumar' ab to masjid mein jaane lage hain.!!
"Khumar Barabankawi"
No comments:
Post a Comment