Thursday, May 10, 2018

Hansne Waale Ab Ek Kaam Karein

Hansne waale ab ek kaam karein,
Jashn-e-girya ka ahtimaam karein,

Hum bhi kar lein jo raushni ghar mein,
Phir andhere kahaan qayaam karein,

Mujh ko mahroomi-e-nazzara qubool,
Aap jalwe na apne aam karein,

Ek guzarish hai hazrat-e-naaseh,
Aap ab aur koi kaam karein,

Aa chalein us ke dar pe ab ai dil,
Zindagi ka safar tamaam karein,

Haath uthta nahin hai dil se 'Khumar',
Hum unhein kis tarah salaam karein.!!

"Khumar Barabankawi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...