Thursday, May 10, 2018

Jhunjhlaye Hain Lajaaye Hain Phir Muskuraye Hain

Jhunjhlaye hain lajaaye hain phir muskuraye hain,
Kis ahtimaam se unhein hum yaad aaye hain,

Dair-o-haram ke habs-kadon ke sataaye hain,
Hum aaj may-kade ki hawa khaane aaye hain,

Ab ja ke aah karne ke aadaab aaye hain,
Duniya samajh rahi hai ke hum muskuraye hain,

Guzre hain may-kade se jo tauba ke baad hum,
Kuchh door aadatan bhi qadam ladkhadaye hain,

Ai josh-e-girya dekh na karna khajil mujhe,
Aankhein meri zaroor hain aansu paraaye hain,

Ai maut ai bahisht-e-sukoon aa khush-aamdeed,
Hum zindagi mein pahle pahal muskuraye hain,

Jitni bhi may-kade mein hai saaqi pila de aaj,
Hum tishna-kaam zohd ke sahra se aaye hain,

Insaan jeete ji karein tauba khataon se,
Majbooriyon ne kitne farishte banaaye hain,

Samjhaate qabl-e-ishq to mumkin tha banti baat,
Naaseh ghareeb ab humein samjhaane aaye hain,

Kaabe mein khairiyat to hai sab hazrat-e-'Khumar',
Ye dair hai janaab yahaan kaise aaye hain.!!

"Khumar Barabankawi"
___
Ahtimaam = care, preparation, planning,
Habs-kadon = suffocating place,
Josh-e-girya = flood of tears,
Khajil = embarrass,
Tishna-kaam = thirsty, unfortunate,
Zohd = religious devotion,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...