Friday, May 11, 2018

Tere Dar Se Uth Kar Jidhar Jaaun Main

Tere dar se uth kar jidhar jaaun main,
Chalun do qadam aur thehar jaaun main,

Sambhaale to hun khud ko tujh bin magar,
Jo chhu le koi to bikhar jaaun main,

Agar tu khafa ho to parwah nahin,
Tera ghum khafa ho to mar jaaun main,

Tabassum ne itna dasa hai mujhe,
Kali muskuraye to darr jaaun main,

Mera ghar fasadaat mein jal chuka,
Watan jaaun to kis ke ghar jaaun main,

'Khumar' un se tark-e-taalluq baja,
Magar jeete-ji kaise mar jaaun main.!!

"Khumar Barabankawi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...