Friday, June 8, 2018

Abhi To Main Jawaan Hun

* Nazm *
__________

Hawa bhi khush-gawaar hai,
Gulo'n pe bhi nikhaar hai..

Tarannum-e-hazaar hai,
Bahaar pur-bahaar hai..

Kahan chala hai saaqiya,
Idhar to laut idhar to aa..

Are ye dekhta hai kya,
Utha subu subu utha..

Subu utha pyaala bhar,
Pyaala bhar ke de idhar..

Chaman ki samt kar nazar,
Samaa'n to dekh be-khabar..

Wo kaali kaali badliyaan,
Ufuq pe ho gayin ayaa'n..

Wo ek hujoim-e-may-kashaa'n,
Hai su-e-may-kada rawaa'n..

Ye kya gumaa'n hai bad-gumaa'n,
Samajh na mujh ko na-tawaa'n..

Khyaal-e-zohd abhi kahaan...

Abhi to main jawaan hun.!

Ibaadaton ka zikr hai,
Najaat ki bhi fikr hai..

Junoon hai sawaab ka,
Khyaal hai azaab ka..

Magar suno to shaikh ji,
Ajeeb shay hain aap bhi..

Bhala shabaab o aashiqi,
Alag hue bhi hain kabhi..

Haseen jalwa-rez hon,
Adaaen fitna-khez hon..

Hawaaen itr-bez hon,
To shauq kyun na tez hon..

Nigaar-ha-e-fitnagar,
Koi idhar koi udhar..

Ubhaarte hon aish par,
To kya kare koi bashar..

Chalo ji qissa-mukhtasar,
Tumhaara nuqta-e-nazar..

Durust hai to ho magar...

Abhi to main jawaan hun.!

Ye gasht kohsaar ki,
Ye sair ju-e-baar ki..

Ye bulbulon ke chahchahe,
Ye gul-rukhon ke qahqahe..

Kisi se mel ho gaya,
To ranj o fikr kho gaya..

Kabhi jo bakht so gaya,
Ye hans gaya wo ro gaya..

Ye ishq ki kahaniyaan,
Ye ras bhari jawaniyaan..

Udhar se mehrbaniyaan,
Idhar se lan-taraniyaan..

Ye aasman ye zameen,
Nazara-ha-e-dil-nasheen..

Inhen hayat-aafreen,
Bhala main chhorh dun yahin..

Hai maut is qadar qareen,
Mujhe na aayega yaqeen..

Nahin nahin abhi nahin...

Abhi to main jawaan hun.!

Na ghum kushood o bast ka,
Buland ka na past ka..

Na bood ka na hast ka,
Na waada-e-alast ka..

Ummid aur yaas gum,
Hawaas gum qayaas gum..

Nazar se aas paas gum,
Hama-bajuz gilaas gum..

Na may mein kuchh kami rahe,
Qadah se humdami rahe..

Nashist ye jami rahe,
Yahi hama-hami rahe..

Wo raag chhed mutriba,
Tarab-faza, alam-ruba..

Asar sada-e-saaz ka,
Jigar mein aag de laga..

Har ek lab pe ho sada,
Na haath rok saaqiya..

Pilaye ja pilaye ja...

Abhi to main jawaan hun.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Tarannum-e-hazaar = thousand modulation,
Hujoim-e-may-kashaa'n = crowd of drinkers of wine,
Na-tawaa'n = weak, feeble,
Khyaal-e-zohd = thought of piety,
Jalwa-rez = manifestation/ appearance in glory and splendour,
Fitna-khez = seditious/ turbulent,
Itr-bez = spreading fragrance,
Nigaar-ha-e-fitnagar = temptations of of the sweet-hearts,
Gasht = patrolling, moving around,
Ju-e-baar = dividing rivulet,
Lan-taraniyaan = tall-tales,
Hayat-aafreen = praiseworthy life,
Qareen = palpable/ close,
Kushood = expansion, openness, solution,
Bast = Asylum, Close, Knot, Obstacle,
Bood = was/ existence,
Hast = being, existence,
Waada-e-alast = promise of day of creation,
Yaas = Despair, desperation, hopelessness,
Qayaas = supposition, guess, pre-sumption,
Hama-bajuz = everything except,
Qadah = bowl, goblet,
Nashist = gathering/ assembly,
Hama-hami = bragging, boasting, tall talk,
Mutriba = female singer,
Tarab-faza = weather of joy,
Alam-ruba = sorrowful,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...