Us shokh ne nigaah na ki hum bhi chup rahe,
Hum ne bhi aah aah na ki hum bhi chup rahe...
Aaya na un ko ahd-e-mulaqaat ka lihaaz,
Hum ne bhi koi chaah na ki hum bhi chup rahe...
Dekha kiye humari taraf bazm-e-ghair mein,
Tajdeed-e-rasm-o-rah na ki hum bhi chup rahe...
Tha zindagi se badh ke humein waz'a ka khyaal,
Jab umr ne nibaah na ki hum bhi chup rahe...
Khamosh ho gayin jo umangein shabaab ki,
Phir jur'at-e-gunaah na ki hum bhi chup rahe...
Maghroor tha kamaal-e-sukhan par bahut 'Hafeez',
Hum ne bhi wah wah na ki hum bhi chup rahe.!!
"Hafeez Jalandhari"
___________
Tajdeed-e-rasm-o-rah = tradition of renewal /novelty,
Waz'a = manner/ state/ style,
No comments:
Post a Comment