Thursday, June 7, 2018

Ye Kya Maqaam Hai Wo Nazare Kahaan Gaye

Ye kya maqaam hai wo nazare kahaan gaye,
Wo phool kya hue wo sitare kahaan gaye..

Yaraan-e-bazm jur'at-e-rindana kya hui,
Un mast ankhdiyon ke ishaare kahaan gaye..

Ek aur daur ka wo taqaza kidhar gaya,
Umde hue wo hosh ke dhaare kahaan gaye..

Uftaad kyun hai laghzish-e-mastana kyun nahin,
Wo uzr-e-may-kashi ke sahaare kahaan gaye..

Dauraan-e-zalzala jo panah-e-nigah the,
Lete hue the paanw pasare kahaan gaye..

Baandha tha kya hawa pe wo ummid ka tilism,
Rangini-e-nazar ke ghubare kahaan gaye..

Uth uth ke baith baith chuki gard raah ki,
Yaaro wo qaafile thake haare kahaan gaye..

Har meer-e-karwaan se mujhe poochhna pada,
Saathi tere kidhar ko sidhaare kahaan gaye..

Farma gaye the raah mein baith intizaar kar,
Aaye nahin palat ke wo pyare kahaan gaye..

Tum se bhi jin ka ahd-e-wafa ustuwaar tha,
Ai dushmanon wo dost humare kahaan gaye..

Kashti nayi bani ke utha le gaya koi,
Takhte jo lag gaye the kinare kahaan gaye..

Ab doobto'n se poochhta phirta hai nakhuda,
Jin ko laga chuka hun kinare kahaan gaye..

Betaab tere dard se the chaaragar 'Hafeez',
Kya jaaniye wo dard ke maare kahaan gaye.!!

"Hafeez Jalandhari"
__________

Yaraan-e-bazm = friends in a party,
Jur'at-e-rindana = courage of drunkard,
Uftaad = accident, distress, calamity, difficulties,
Laghzish-e-mastana = Drunken Stagger,
Uzr-e-may-kashi = excuse for drinking wine,
Dauraan-e-zalzala = during earth quake,
Panah-e-nigah = refuge of glance,
Meer-e-karwaan = leader of the caravan,
Ustuwaar = firm, strong,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...