Masto'n pe ungliyan na uthao bahaar mein,
Dekho to hosh hai bhi kisi hoshyaar mein..
Kuchh mohtasib ka khauf hai kuchh shaikh ka lihaaz,
Peeta hun chhup ke daaman-e-abr-e-bahaar mein..
Wo saamne dhari hai suraahi bhari hui,
Dono'n jahaan hain aaj mere ikhtiyaar mein..
Allah baat kya hai ke deewangi meri,
Deewangi nahin nazar-e-hoshiyaar mein..
Jhoothi tasalliyon se na bahlao jao jao,
Jao ke tum nahin ho mere ikhtiyaar mein..
Hun waadi-e-hayat mein is tarah sust-e-gaam,
Jaise ho pa-shikasta koi khaar-zaar mein..
Ab wo sukoon-e-yaas na wo iztiraab-e-shauq,
Seene mein dil hai ya koi laasha mazaar mein..
Ab khaak udaaiye na humare mazaar ki,
Ab khaak bhi nahin hai humare mazaar mein..
Tanhaai-e-firaaq mein ummid baar-ha,
Gum ho gai sukoot ke hangama-zaar mein..
Wo andaleeb-e-gulshan-e-maani hun main 'Hafeez',
Soz-e-sukhan se aag laga dun bahaar mein.!!
"Hafeez Jalandhari"
__________
Andaleeb-e-gulshan-e-maani = nightingale of garden of meaning,
No comments:
Post a Comment