* Nazm *
__________
Yoon waqt guzarta hai..
Fursat ki tamanna mein,
Jis tarah koi patta,
Bahta hua dariya mein,
Saahil ke qareeb aa kar,
Chaahe ke thehar jaaun,
Aur sair zara kar lun,
Us aks-e-moshajjar ki,
Jo daman-e-dariya par,
Zebaaish-e-dariya hai..
Ya baad ka wo jhonka,
Jo waqf-e-rawaani hai..
Ek baagh ke goshe mein,
Chaahe ke yahaan dam lun..
Daaman ko zara bhar lun..
Us phool ki khushbu se,
Jis ko abhi khilna hai..
Fursat ki tamanna mein,
Yoon waqt guzarta hai..
Afkaar maiishat ke,
Fursat hi nahin dete..
Main chahta hun dil se,
Kuchh kasb-e-hunar kar lun..
Gul-ha-e-mazameen se,
Daaman-e-sukhan bhar lun..
Hai bakht magar wazhoo'n..
Fursat hi nahin milti..
Fursat ko kahaan dhundhun,
Fursat hi ka rona hai..
Phir ji mein ye aati hai,
Kuchh aish hi haasil ho..
Daulat hi mile mujh ko..
Wo kaam koi sochun,
Phir sochta ye bhi hun,
Ye sochne ka dhanda,
Fursat hi mein hona hai..
Fursat hi nahin dete,
Afkaar maiishat ke.!!
"Hafeez Jalandhari"
__________
Aks-e-moshajjar = reflection of trees / forest,
Afkaar = thoughts, worries,
Maiishat = subsistence, livelihood, living, daily food,
Kasb-e-hunar = tool of a craft,
Gul-ha-e-mazameen = Articles of flowers,
Waazhu'n = inverted, upturned,
No comments:
Post a Comment