Mujhe shaad rakhna ke nashaad rakhna,
Mere deeda o dil ko aabaad rakhna..
Bhulaai nahin ja sakengi ye baatein,
Tumhein yaad aayenge hum yaad rakhna..
Wo nashaad o barbaad rakhte hain mujh ko,
ilaahi unhein shaad o aabaad rakhna..
Tumhein bhi qasam hai ke jo sar jhuka de,
Usi ko tah-e-tegh-e-bedaad rakhna..
Milenge tumhein raah mein but-kade bhi,
Zara apne Allah ko yaad rakhna..
Jahaan bhi nashe mein qadam ladkhadayen,
Wahin ek masjid ki buniyaad rakhna..
Sitaaron pe chalte hue ibn-e-aadam,
Nazar mein farishton ki uftaad rakhna..
'Hafeez' apne afkaar ki saadgi ko,
Takalluf ki uljhan se aazaad rakhna.!!
"Hafeez Jalandhari"
No comments:
Post a Comment