Dil se agar kabhi tera armaan jayega,
Ghar ko laga ke aag ye mehmaan jayega..
Sab honge us se apne taaruf ki fikr mein,
Mujh ko mere sukoot se pahchaan jayega..
Is kufr-e-ishq se mujhe kyun rokte ho tum,
Imaan waalo mera hi imaan jayega..
Aaj us se main ne shikwa kiya tha shararatan,
Kis ko khabar thi itna bura maan jayega..
Ab is maqaam par hain meri be-qarariyaan,
Samjhane waala ho ke pashemaan jayega..
Duniya pe aisa waqt padega ke ek din,
Insaan ki talaash mein insaan jayega.!!
"Fana Nizami Kanpuri"
No comments:
Post a Comment