Monday, May 28, 2018

Ya Rab Meri Hayat Se Ghum Ka Asar Na Jaaye

Ya rab meri hayat se ghum ka asar na jaaye,
Jab tak kisi ki zulf-e-pareshaan sanwar na jaaye,

Wo aankh kya jo aariz o rukh par thehar na jaaye,
Wo jalwa kya jo deeda o dil mein utar na jaaye,

Mere junoon ko zulf ke saaye se door rakh,
Raste mein chhaanw pa ke musafir thehar na jaaye,

Main aaj gulistaan mein bula lun bahaar ko,
Lekin ye chahta hun khizaa'n rooth kar na jaaye,

Paida hue hain ab to maseeha naye naye,
Beemar apni maut se pahle hi mar na jaaye,

Kar li hai tauba is liye waaiz ke saamne,
Ilzaam-e-tishnagi mere saaqi ke sar na jaaye,

Saaqi pila sharaab magar ye rahe khyaal,
Aalam-e-rozgaar ka chehra utar na jaaye,

Main us ke saamne se guzarta hun is liye,
Tark-e-ta'alluqaat ka ahsaas mar na jaaye,

Masroor-e-deed-e-husn hai is waaste 'Fana',
Duniya ke aib par kabhi meri nazar na jaaye.!!

"Fana Nizami Kanpuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...