Sunday, May 27, 2018

Doobne Waale Ki Mayyat Par Laakhon Rone Waale Hain

Doobne waale ki mayyat par laakhon rone waale hain,
Phoot phoot kar jo rote hain wahi dubone waale hain..

Kis kis ko tum bhool gaye ho ghaur se dekho baada-kasho,
Sheesh-mahal ke rahne waale patthar dhhone waale hain..

Sone ka ye waqt nahin hai jaag bhi jao be-khabro,
Warna hum to tum se zyaada chain se sone waale hain..

Aaj suna kar apna fasana hum ye karenge andaza,
Kitne dost hain hansne waale kitne rone waale hain..

Main bhi unhein pahchaan raha hun ghaur se dekho baada-kasho,
Shayad shaikh-e-haram baithe hain wo jo kone waale hain.!!

"Fana Nizami Kanpuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...