Sunday, May 27, 2018

Wo Jaane Kitna Sar-e-bazm Sharmsaar Hua

Wo jaane kitna sar-e-bazm sharmsaar hua,
Suna ke apni ghazal main qusoor-waar hua..

Hazaar baar wo guzra hai be-niyazana,
Na jaane kyun mujhe ab ke hi na-gawaar hua..

Hazaron haath meri samt ek saath uthe,
Magar main ek hi patthar mein sangsaar hua..

Main teri yaad mein gum tha ki kha gaya thokar,
Ye haadsa meri raahon mein baar baar hua.!! 

"Fana Nizami Kanpuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...