Ai husn zamane ke tewar bhi to samjha kar,
Ab zulm se baaz aa ja ab jaur se tauba kar..
Toote hue paimane bekaar sahi lekin,
May-khane se ai saaqi baahar to na phenka kar..
Jalwa ho to jalwa ho parda ho to parda ho,
Tauhin-e-tajalli hai chilman se na jhaanka kar..
Arbaab-e-junoon mein hain kuchh ahl-e-khirad shaamil,
Har ek musafir se manzil ko na poochha kar.!!
"Fana Nizami Kanpuri"
__________
Tauhin-e-tajalli = humiliation of effulgence,
Arbaab-e-junoon = people of frenzy,
Ahl-e-khirad = wise people,
No comments:
Post a Comment