Duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte,
Yaad aate ho tum khud hi hum yaad nahin karte..
Wo jaur-e-musalsal se baaz aa to gaye lekin,
Be-daad ye kya kam hai be-daad nahin karte..
Saahil ke tamashaai har doobne waale par,
Afsos to karte hain imdaad nahin karte..
Kuchh dard ki shiddat hai kuchh paas-e-mohabbat hai,
Hum aah to karte hain fariyaad nahin karte..
Sahra se bahaaron ko le aaye chaman waale,
Aur apne gulistaan ko aabaad nahin karte.!!
"Fana Nizami Kanpuri"
__________
Jaur-e-musalsal = continuous tyranny,
Be-daad = unjust, without praise,
No comments:
Post a Comment