Tu phool ki maanind na shabnam ki tarah aa,
Ab ke kisi be-naam se mausam ki tarah aa,
Har martaba aata hai maah-e-nau ki tarah tu,
Is baar zara meri shab-e-ghum ki tarah aa,
Hal karne hain mujh ko kai pecheeda masaail,
Ai jaan-e-wafa gesu-e-pur-kham ki tarah aa,
Zakhmon ko gawara nahin yak-rangi-e-halaat,
Nashtar ki tarah aa kabhi marham ki tarah aa,
Nazdeeki o doori ki kashakash ko mita de,
Is jang mein tu sulah ke parcham ki tarah aa,
Maana ke mera ghar teri jannat to nahin hai,
Duniya mein meri laghzish-e-aadam ki tarah aa,
Tu kuchh to mere zabt-e-mohabbat ka sila de,
Hangaam-e-fana deeda-e-pur-nam ki tarah aa.!!
"Fana Nizami Kanpuri"
__________
Kashakash = Contention, Dilemma, Grief And Pain , Struggle,
Hangaam-e-fana = time of destruction,
No comments:
Post a Comment