Thursday, May 24, 2018

Ek Se Ek Hai Ghaarat-gar-e-imaan Yahaan

Ek se ek hai ghaarat-gar-e-imaan yahaan,
Ai mere dil tera Allah nigahbaan yahaan,

Chhorh kar jaaun tere shahar ki galiyaan kaise,
Dil yahaan rooh yahaan jism yahaan jaan yahaan,

Kis se poochhun ke wo be-mehr kahaan rahta hai,
Dil-e-betaab meri jaan na pahchaan yahaan,

Jaane is shahar ka me'aar-e-sadaqat kya hai,
But bhi haathon mein liye phirte hain quraan yahaan,

Toot jaaye to ise dil ka laqab milta hai, 
Chaak ho jaaye to hota hai garebaan yahaan,

Aur honge jinhein tufaan dubo deta hai,
Hum jo doobe to bahut aayenge tufaan yahaan,

Ab yahi log karenge nai duniya tameer,
Tu ne dekha hai jinhein be-sar-o-samaan yahaan,

'Saif' kya khoob zamane ki hawa badli hai,
Takht-e-taaoos pe aa baithe hain darbaan yahaan.!!

"Saifuddin Saif"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...