Garche sau baar ghum-e-hijr se jaan guzri hai,
Phir bhi jo dil pe guzarti thi kahaan guzri hai,
Aap thehre hain to thehra hai nizaam-e-aalam,
Aap guzre hain to ek mauj-e-rawaa'n guzri hai,
Hosh mein aaye to batlaye tera deewana,
Din guzara hai kahaan raat kahaan guzri hai,
Aise lamhe bhi guzare hain teri furqat mein,
Jab teri yaad bhi is dil pe giraa'n guzri hai,
Hashr ke baad bhi deewane tere poochhte hain,
Wo qayamat jo guzarni thi kahaan guzri hai,
Zindagi 'Saif' liye qaafila armaanon ka,
Maut ki raat se benaam-o-nishaan guzri hai.!!
"Saifuddin Saif"
No comments:
Post a Comment