Tumhaari khushbu thi hum-safar to humara lahja hi dusra tha,
Ye aks bhi aashna sa hai kuchh magar wo chehra hi dusra tha...
Wo adh-khuli khidkiyon ka mausam guzar gaya to ye raaz jaana,
Idhar shanasaai tak nahin thi udhar taqaza hi dusra tha...
Gulaab khilte the chahaton ke charagh jalte the aahaton ke,
Jahaan barasti hain wahshatein ab kabhi wo raasta hi dusra tha...
Kabhi na kahta tha dil humara ke aansuon ko likhein sitara,
Judaaiyon ki kasak se pahle ye istiaara hi dusra tha...
Udaas lafzon ke raaste mein ye raushni ki lakeer kab thi,
Mohabbaton ke safar se pahle ghazal ka lahja hi dusra tha.!!
"Iqbal Ashhar"
No comments:
Post a Comment