Raat ka pichhla pahar kaisi nishani de gaya,
Munjamid aaankhon ke dariya ko rawani de gaya..
Main sadaqat ka alam-bardaar samjha tha jise,
Wo bhi jab rukhsat hua to ek kahani de gaya..
Pahle apna tajziya karne pe uksaya mujhe,
Phir natija-kheziyon ko be-zabani de gaya..
Kyun ujaalon ki nawazish ho rahi hai har taraf,
Kya koi bujhte charaghon ko jawani de gaya..
Kyun na is aawara baadal ko duaaen dijiye,
Jo samandar ko khalish sahra ko paani de gaya.!!
"Iqbal Ashhar"
__________
Munjamid = frozen, congealed, solid,
Tajziya = separation, analysis,
Natija-kheziyon = consequential-plural,
No comments:
Post a Comment