Pyaas ke bedaar hone ka koi rasta na tha,
Is taraf baadal nahin the us taraf dariya na tha..
Raat ki tareekiyan pahchan leti thin use,
Rooh ki aawaz tha wo jism ka saya na tha..
Teri yaadein to charaghon ki qataarein ban gayin,
Pahle bhi ghar mein ujaala tha magar aisa na tha..
Chand qatro'n ke liye dariya ko kyun takleef di,
Meri jaanib dekh lete main koi sahra na tha..
Raat aai to charaghon ki badi ta'azeem thi,
Aur jab guzri to koi poochhne waala na tha.!!
"Iqbal Ashhar"
No comments:
Post a Comment